(lata)
dil Mein Baitha Koi Dil Ki Dhadkan Ginta Jaaye, Dhadkan Ginta Jaaye
mere Dil Ke Bhed Churaakar Apne Bhed Chhupaaye, Apne Bhed Chhupaaye
ho~o Jo Jo Meri Preet Badhe Main Hoti Jaaoon Deewaani
dheere Dheere Chadh Gaya Nadi Mein Paani
ho~o Dheere Dheere
(hemantda)
uthti Girti Lehren Boley Aao Saath Hamaare, Aao Saath Hamaare
aanewaali Raat Ka Pehla Taara Kare Ishaare, Taara Kare Ishaare
ho~o Man Ki Batiyaan Geet Bani Geeton Mein Aayi Ravaani
dheere Dheere Chadh Gaya Nadi Mein Paani
ho~o Dheere Dheere
(both Together)
bachpan Mein Hum Kar Baithe Ek Chhoteesi Naadaani, Chhoteesi Naadaani
lekin Aaj Usi Ke Dum Se Hai Zindagi Suhaani, Hai Zindagi Suhaani
ho~o Do Dil Kya Mil Gaye Ke Aage Badhti Jaaye Kahaani
dheere Dheere Chadh Gaya Nadi Mein Paani
ho~o Dheere Dheere