(jaane na najar pehachaane jigar, ye kaun jo dil par chhaaya
mera ang ang muskaaya) - 2
aawaaz yeh kiski aati hai, jo chhed ke dil ko jaati hai - 2
main sun ke jise sharma jaau, hai kaun jo mujh mein samaaya
mera ang ang muskaya - 2
jaane na najar pehachaane jigar, ye kaun jo dil par chhaaya
mujhe roz roz tadapaaya - 2
dhudenge usse hum taaro mein, saawan ki thandi bahaaro mein - 2
par ham bhi kisi se kam toh nahi, kyon rup ko apne chhupaaya
mujhe roz roz tadapaaya - 2
jaane na najar pehachaane jigar, ye kaun jo dil par chhaaya
mera ang ang muskaaya - 2
bin dekhe jisko pyaar karu, gar dekhu us ko jaan bhi doon - 2
ek baar kaho o jaadugar, yeh kaun sa khel rachaaya
meraa ang ang muskaaya - 2
jaane na najar pehachaane jigar, ye kaun jo dil par chhaaya
mera ang ang muskaaya - 2