har taraf andhera hai, dur kyun savera hai - (2)
sehame sehame manjar hai, suni suni raahein hai - (2)
darr rahe hain bachche kyun, kyun udaas maaye hain
har khushi ke aangan mein dard ka basera hai - (2)
har taraf andhera hai, dur kyun savera hai
sehame sehame manjar hai
kya huwa hai basti ko, kaisi yeh udaasi hai - (2)
jindagi khud apane hi (khun ki pyaasi hai -2)
beasar duwaayein hai, waqt ?? pehara hai - (2)
har taraf andhera hai, dur kyun savera hai
sehame sehame manjar hai
sehame sehame manjar hai, suni suni raahein hai
darr rahe hain bachche kyun, kyun udaas maaye hain