paise bina pyaar fazul hai, yeh pyaar kya hai
paise bina pyaar fazul hai - (2)
o raani yeh jawaani ki bhul hai
paise bina pyaar fazul hai, paise bina pyaar
jise dil chaahe woh na mil paaye toh daulat se woh kharid lo - (2)
logo deewaano yeh maano ya na maano apana toh yeh usul hai
paise bina pyaar fazul hai - (2)
o raani yeh jawaani ki bhul hai, paise bina pyaar
tose laage naina jaage saari raina, hat jhuti hai sab kahaaniya - (2)
aaj khil jaaye toh kal murjhaaye dil ek patjhad ka phul hai
paise bina pyaar fazul hai - (2)
o raani yeh jawaani ki bhul hai, paise bina pyaar
bhula pyaasa soye jaage toh roye woh aadami pyaar kya karein - (2)
jise nahi khona paisa toh hai sona baaki sab kadamon ki dhul hai
paise bina pyaar fazul hai - (2)
o raani yeh jawaani ki bhul hai, paise bina pyaar fazul hai