mizaaj-e-garami duwa hai aap ki - (2)
badi khubsurat ada hai aap ki, badi khubsurat nigaah hai aap ki
mizaaj-e-garami duwa hai aap ki - (2)
(khoya khoya sa kuchh gum sum
main aajkal rehata hoon har mehfil mein) - (2)
koyi dawa toh batlaao ki dard rehata hai jara sa dil mein
yahin dard-e-dil toh dawa hai aap ki - (2)
mizaaj-e-garami duwa hai aap ki - (2)
marzi hai aaj kya fiza ki jo aaj mra dil yuun dhadaka rahi hai - (2)
kya ho gaya hai iss hawa ko jo aise mere julfon ko bikhara rahi hai
kare kaya ki aashiq hawa hai aap ki - (2)
mizaaj-e-garami duwa hai aap ki - (2)
aaye na nind mein mohabbat mein toh raat suhaani koyi kaise gujaare - (2)
sota hai chain se jamaana gujaarata hon main raat gin ginake taare
khata hai ye kisaki khata hai aap ki
mizaaj-e-garami duwa hai aap ki - (2)
badi khubsurat ada hai aap ki, badi khubsurat nigaah hai aap ki
mizaaj-e-garami duwa hai aap ki - (2)