awarapan banjarapan, ek hala hai sine me
har dam har pal bechainee hai, kaun bhala hai sine me
iss dharti par jis pal suraj roj savere ugata hai - (2)
apne liye toh thik usee pal, roj dhala hai sine me
awarapan banjarapan, ek hala hai sine me
jane yeh kaisee aag lagee hai, isame dhuwa na chingaree - (2)
ho na ho uss par kahee koyee, khwab jala hai sine me
awarapan banjarapan, ek hala hai sine me
jis raste par tapta suraj saree rat nahee dhalta - (2)
ishk kee aise rah gujar ko hamne chuna hai sine me
awarapan banjarapan, ek hala hai sine me
kaha kise ke liye hai mumkin sab ke liye ek sa hona - (2)
thoda sa dil meraa bura hai, thoda bhala hai sine me
awarapan banjarapan, ek hala hai sine me