kisi ne prem ka amrit chaakha, kisi ne vish ka pyaala
gokul ki galiyon ka gwaala, natkhat bada nandlaala
gore se ho gaya kaala - (2)
gokul ki galiyon ka gwaala, natkhat bada nandlaala
gore se ho gaya kaala
teri nainon mein hai bhakti kewal prem mein hai yeh shakti - (2)
woh teri maala ka moti woh teri dipak ki jyoti - (2)
raadha dhul piya charnan ki, rukmini gale ki maala
gokul ki galiyon ka gwaala, natkhat bada nandlaala
gore se ho gaya kaala
rukmini bas mehalo ki raani - (2)
raadha krishan ki prem kahaani
mere paas hai sirf kahaani, tere paas hai sach deewaani - (2)
sab ko geet sunaaye tumase preet kare matwaara
gokul ki galiyon ka gwaala, natkhat bada nandlaala
gore se ho gaya kaala
main usaki haqdaar nahi - (2)
main puja hoon pyaar nahi
haar hi jeet se sundar hai, puja preet se sundar hai
raadha krishn ki hai jodi, isame shanka hai thodi - (2)
woh tera bhagwaan hai, yeh tera balidaan hai
woh tera hai, woh tera hai, woh tera hai....