Song Title : Rut jawaan jawaan raat meharbaan (Aakhri Khat - 1966)
Movie : Aakhri Khat - 1966
Singer : Bhupinder Singh
Lyrics : Kaifi Azmi
Music Director : Khayyam
Star cast : Super Star Rajesh Khanna & Indrani Mukerjee.
kuchh jhuki jhuki nazar kahe
kuchh chhupa chhupa sa dar kahe
jo kahe wo raat bhar kahe
phir bhi na ho kuchh bayaan
rut jawaan jawaan
raat meharbaan
chhedo koyi daastaan
rut jawaan jawaan
husn ki shikaayaten bazaa
hai idhar tadap udhar gilaa
khaamoshi hai dard ki sadaa
aankhen banin hain zubaan
rut jawaan jawaan
raat meharbaan
chhedo koyi daastaan
rut jawaan jawaan
gham khushi khushi chhupa liyaa
dard ko bhi dil banaa liyaa
zindagi ne aazmaa liyaa
tum to na lo imtehaan
rut jawaan jawaan
raat meharbaan
chhedo koyi daastaan
rut jawaan jawaan