mai kismat kaa maara bhagvaan, mai kismat kaa maara
(jag me bhatak bhatak ke haara -2) bhagvaan
mai kismat kaa maara bhagvaan, mai kismat kaa maara
kismat ke jab phul too baante - (2)
jholee me meree bhar diye kaante - (2)
inn kaanto ko chunate chunate - (2)
gujara jivan saara bhagvaan, mai kismat kaa maara
jag me bhatak bhatak ke haara bhagvaan
mai kismat kaa maara
bitee umariya jalate jalate - (2)
jalate angaaro pe chal ke - (2)
maut kee manjil mil jaaye toh - (2)
ho jaaye chhutakaara -2 bhagvaan
mai kismat kaa maara - (2)