La: Baansuriya Phir Se Bajaao, Kaanha
baansuriya Phir Se Bajaao
he: Ja Ja Na Hamko Sataao, Raadha
ja Ja Na Hamko Sataao
la: Bansi Na Baaje To Jiya Mora Dole
jiya Mora Dole Piyaa, Boli Ye Bole
phir Se Vahi Dhun Sunaao, Kaanha
baansuriya
baansuriya Phir Se Bajaao, Kaanha ...
he: Ja Ri Natkhat Gavaalin Ki Chhori
main Na Bajaaoonga Ye Baans Ki Pori
la: Aise Na Mujhko Rulaao, Kaanha
baansuriya
baansuriya Phir Se Bajaao, Kaanha ...
la: Kaanha Teri Murali Mein Raadha Ki Jaan Hai
he: Raadha Tu Hi To Meri Bansi Ki Taan Hai
la: Honthon Se Bansi Lagaao, Kaanha
baansuriya
baansuriya Phir Se Bajaao, Kaanha