bansuriya phir se baja o kaanha
bansuriya phir se baja
jaa jaa na ham ko sata o raadha
jaa jaa na ham ko sata
bansee na baje toh jiya mora dole
jiya mora dole piya, bolee yeh bole
phir se vahee dhun suna o kaanha
bansuriya -2 phir se baja o kaanha.....
jaa ree natkhat gavalin kee chhoree
mai na bajaaunga yeh baans kee poree
aise na mujhako rula o kaanha
baansuriya -2 phir se baja o kaanha.......
kaanha teree muralee me raadha kee jaan hai
raadha too hee toh meree bansee kee taan hai
honthon se bansee laga o kaanha
baansuriya -2 phir se baja o kaanha.......