likhee hai yeh vidhaata ne, kismat garib kee
maatee ke mol bikatee hai, ajamat garib kee..
yeh kaise duneeya waale hain, tan ujale hai mann kaale hain - (2)
yeh kaise duneeya waale hain
jab kisee garib ke aangan me, koyee khilke kalee muskaatee hai - (2)
inn paapee duneeya waalo kee - (2)
aankho me hawas aa jaatee hai - (2)
yeh sukhee rotee ke badle, tan badan kharidane waale hain
yeh kaise duneeya waale hain
jab laaj kee chudee tutee hai, sindur kaa rang pighalata hai - (2)
uss wakt garib ke sine me - (2)
ik jwaalaamukhee jal uthata hai - (2)
phir khud hee jubaan ban jaate hain, yeh hoto ke jo taale hain
yeh kaise duneeya waale hain
bhagwaan bata kyon dhan waale, nirdhan par aisa julm kare - (2)
kyon ablaavo kee maang me yeh - (2)
sindur ke badle raakh bhare - (2)
yeh aap hee ijjat lutate hain, jo ijjat ke rakhwaale hain
yeh kaise duneeya waale hain, tan ujale hain mann kaale hain
yeh kaise duneeya waale hain