Aayi Thi Raat Josh-e-tamannaa Liye Hue
jaati Hai Ab Luti Hui Duniyaa Liye Hue
(sitaaron Ki Mehfil Saji Tum Na Aaye)- 2
saji Tum Na Aaye
tumhe Hamne Aavaaz Di Sajnaa
tumhe Hamne Aavaaz Di,tum Na Aaye
(haaye Tum Na Aaye)- 2
bichhadane Ko Ab Raat Kaa Kaarvaan Hai
haaye Kaaravaan Hai
huaa Chaand Benuur, Chup Aasamaan Hai
chup Aasamaan Hai
chali Ruthakar Chaandani, Tum Na Aaye
(haaye Tum Na Aaye)- 2
abhi Jaag Uthe Hain Ummeedon Ke Taare
ummeedon Ke Taare
chale Aao Pyaare Muhabbat Pukaare
muhabbat Pukaare
bahaaron Ko Neend Aa Gayi,tum Naa Aaye
(haaye Tum Na Aaye) - 2